FUNNY URDU SMS

 

Teri aankain jhuki jhuki
tera chehra khila khila
jab tere chehre per haath ghumaya
to aadha kilo fair & lovely mila

TUSI bade hi gr8 ho,
RASGULLE ki pl8 ho,
PEPSI ka cr8 ho,
ANDE ka oml8 ho,
SMS KARNE ME bare le8 ho,
JALEBI ki tarah stra8 ho,
KHER jo bhi ho mere fevr8 ho...!

Mandir mein jaap karta hoon,
Masjid mein adaab karta hoon,
Insaan se kahin bhagwan na ban jaun
isliye roz tujhko SMS karke paap karta hoon

Child : - Mohit uncle mujhe na Bandar dekhna hai
Mohit : - Beta vo abhi SMS padh raha hai.

Zindagi jaise ek saza si ho gayi hai,
gamm ke saagar me is kadar kho gayi hai,
tum kar do ek SMS yeh guzarish hai meri,
tumari SMS ki adat si ho gayi hai.

Jis mehfil mein hum khade ho jaaye
waha Haritik bhi jhukta hai
Kaho Na Pyaar Hai
Kya mooh dukhta hai

Tumko dekha to yeh khyaal aaya
Tumko dekha to yeh khyaal aaya
Ki Paaglo ke stock mein Naya Maal Aaya

Kaun sa gham hai jo yeh haal bana rakha hai
na to makeup hai, na baalon ko sajaa rakha hai
aur khama-kha cherti rehti hai yeh rukhsaaron ko
Tum ne zulfon ko bohut sar pe chara rakha hai

Jis din se juda vo humse hue
is dil ne dharkna chor diya
hai chaand ka mooh bhi utra utra
taaro ne chamkna chor diya

Kon kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi
yeh afwaah zaroor kissi dushman ne uraayi hogi
shaan se rahenge tumahre dil mein hum
itne dino mein kuch to jagah banayi hogi

Vo likhte hain humara naam mitti mein
aur mita dete hain, Unke liye ye khel hoga
magar hume to vo mitti mein mila dete hain...

Umeedo ki manzil toot gayi
aankho se ashqo ki dhara beh gayi
are tumahri bhi kya izaat reh gayi
jab class ki ladki bhaiya keh gayi

Kabhi honsla bhi aazmaana chahiye
bure waqt mein muskurana chahiye
jab 10 dino mein khujli na mite
to 11 ve din nahana chahiye

Arz kiya hai.....
Aaj-kal aapke SMS aana band hai
wah wah! wah wah!
Aaj-kal aapke SMS aana band hai
khafa ho humse ya balance kam hai?
ha ha ha ha.....

Tammana se nahi tanhai se darte hain
pyaar se nahi ruswaai se darte hain
milne ki to bohat chahat hai
par milne ke baad judaai se darte hain

Dil torna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi

You r my sweet SONA
I don't want u KHONA
I want a place in your heart's KONA
Otherwise i will start RONA
Atleast Good Morning to kar LONA

Jab i ne U se pyaar kiya
to night ko sleeping chor diya
tere face ki gentle beauty ne
mere kind heart ko phor diya

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!

Safed rang ho agar mehboob ka ,
toh mohabbat ki detergent khusbudar nazar aati hai,
na koi aur hota kharid-dar SURF-EXCEL KA,
aur na dhulai RIN-SUPREME ki kam nazar aati hai...!!!

jawani ke din chamkile ho gaye
aur husn ke tewar nukile ho gaye
hum izhaar karne me thode dhiile ho gaye
aur unke haath peele ho gaye

 

 

 

 

 

Is Dil mein aansuyo ke mele hain
Tum bin hum bohat akele hain
Sab kuch chor kar tumeh e-mail karte hain
Dekho hum kitne vele hain
* vele = lazy (vele is a Punjabi word)

Har des ki ek sarhadd hoti hai
bache ki bhi ek zidd hote hai
aur kitna intzaar karru tere sms ka
Kanjosi ki bhi koi hadd hoti hai

Promise me we are true friends
I am lamp you are light
I am Coke you are Sprite
I am Sawan you are badal
I am Normal you are Pagal
I am Water you are Tanki
I am Tarzan you are Monkey

kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate
kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate
kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate
aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.

Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jayu vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum...

Shaam hote hii ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

Door waadiyoN mein dhundley badal chupkar parbat se milne ka intzaar karte hain, Dil mein tamaam hasarteiN liye hum aapka intzaar karte hain

Kya aankheiN hain aapki, kya baatein hain aapki..
us khuda ne kuch aisa aapko bnaya hai...
maano..."Shhhsss...KOI Hai" se bhoot nikal aaya hai....

Aap kya jaano hum kitna yaad karte hain
maano ya na maano har pal fariyaad karte hain
Roz khat likhte hain CARTOON NETWORK ko
aur aapko play karne ki maang karte hain....
waaaaahhhhhhhhh...

Teri yaad mein humne kalam uthaayi
liya paper aur tasveer aapki bnayi
socha tha ki usko dil se laga kar rakhenge
magar vo to bacho ko draane ke kaam aayi...

Bari asaani se dil lagaye jaate hain
par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain
le jaati hai mohabbat un raaho par
jaha diye nahi dil jlaaye jaate hain

Aap jaise log hume kuch khas lagte hai.
mann me har waqt hum ek aas rakte hai,
jaane kab aa jaye sms aapka
is liye cell ko dil ke pass rakte hai

Muskura do zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai roshni kam hai,
tum hamare nahi to kya ghum hai,
hum tumhare to haiN ye kya kam hai?

Tere pyaar ki roshni aisi hai ki
har taraf ujaala nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai

jawaab teri shayari ka....
denge hum shayari mein....
naam tera likh baithe hain....
apne dil ki diary mein....

Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota
Tum is baat pe itna hasti, tum uss baat pe itna khush hoti,
Tum is baat pe ye kehti,tum uss baat pe wo kahati
shukar hai tum nahi ho!!!

Yeh jo haseeno ke baal hote hai,
larkon ko phassane ke jaal hote hai,
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone,
tabhi to inke honth laal hote hai

Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aur humare dil se awaaz nikalii....
Fiteh Mooh...Tusin Ethe vii aa gaye !!!

Hi Musharraf needs 500 donkeys to attack on India. 499 ja chuke, message milte hi niklo...

Jaate hue kuch aisa kar ke jayo kaam
ki har galli se awaaz aaye..."ABBA JAAN"..." ABBA JAAN"

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Yeh to unke bache hee kamine hain,
Jo Mammu-Mammu bulaate hain.
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tarap raha hu ab aur na intzaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de

 

 

 

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge

Waqt Ke Saath Badal Jaaye
Use Pyaar Nahi Kehte
Musibat Se Jo Darr Jaaye
Use Yaar Nahi Kehte

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga

Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....

Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...

Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalo.n ki chum chum chum si,
Chand meri yaar , kaisi ho?

Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to

Hum Jaise Barbaad Dilo Ka
Jeena Kya Aur Marna Kya
Aaj Teri Mehfil Se Uthe Hai
Kal Duniya Se Uth Jaayenge

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
....Ahmed faraz

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...Sabir Jalalabadi

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Sheeshe ke gharon main dekho to
Putther dil wale buste hain
Jo pyar ko khail samajhte hain
Aur tor ke dil ko haste hain

Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath
Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati

Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai
aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai

Suraj ko diya dikhane se kya fayeda,
laash ko aag lagane se kya fayeda,
Aye shahjahaan, mumtaz to jaa chuki
Ab laash pe taj banane se kya fayeda

Mere rooh ki haqeeqat
Merey aansoo se pucho
Mere keh kahon ki duniya
Mere tar juman nahin hai

Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi

Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena

 

 

Darte hai koi jan na le..

Bheeg jati hain palke tanhai me,
Darte hain koi jan na le,
Tabhi to ham chalte hain barish me,
Taki rote hue hame koi pahechan na le

Submitted by: Sunny

Har kisi ko mohobat ras nahe ati

Dil jab tutta hai to awaz nahe ati
Har kisi ko mohobat ras nahe ati
Ye to apne apne naseeb ki bat ha koi bhoolta he nahe
Or kisi ko yad he nahe ati.

Submitted by: Farhan Memon

Usse panay ki aas rehti hai

Na jane ye nazar kyu udas rehti hai
Na jane isse kis ki talash rehti hai
Ye jaan kar k wo kismat me nahi hai
Phir bhi usse panay ki aas rehti hai

Submitted by: Asif Hussain

Jo tum se nahi keh paate hai

Yeh milna aur bicharr jaana
Kab apne bas ki baat hai
Kismat hi milati hai hum ko
Kismat hi juddai deti hai
Har baar yeh hi hota hai
Koi hume bataye to sahi
Jo tum se nahi keh paate hai
Dharkan se sunayi deti hai

Submitted by: Priyanka Chauhan

Humne to tumhe apni zindgi samjha

Sitam ko humne berukhi samjha,
Pyaar ko humne bandagi samjha,
Tum chahe hume jo bhi samjho,
Humne to tumhe apni zindgi samjha

Submitted by: Ibrahim Mohd.

Zindagi kitni khubsurat hai

Tum na mano yeh hakikat hai,
Dosto insaan ki zaroorat hai,
Kisi din aao hamari mehfil mein,
Jaan jaoge zindagi kitni khubsurat hai

Submitted by: Adeelkhan

Tum bus apni naak saaf rakhna

Kadam kadam pe hawa ki aahat ka dhyan rakhna,
Mushkil samay bhe dost ko yaad rakhna,
Hamare yado ki khushboo zaroor ayege,
Tum bus apni naak saaf rakhna

Submitted by: Yousaf swatay

Fakt teri ek nazar ki khwaish hai

Tujhe pyaar karna mana ki meri bhool hai,
Chaha tujhe is kadar ki teri bewafai bhi kabool hai,
Fakt teri ek nazar ki khwaish hai,
Shayad ishq ke imtihaan mein apni aisi hi azmayish hai

Submitted by: Lost

Dil karta hai tere….

Chahta hoo tujhe pyar du,
Dost par apni jindagi waar du,
Jab tera message nahi milta to,
Dil karta hai tere dil me goli maar doooo.

Submitted by: Chndan Sharma

Rone de tu aaj hamako

Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega
Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega

Submitted by: Shezi

 

 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Pearls... Love Affordable Elegance...

jokes

తెలుగువాళ్ళ కారం